RBI (Reserve Bank Of India), Bharat ke kendriya bank. Kya aap jante hain ki kyun RBI jyada currency print nehi karte hain? Iska sidha sa answer hain mudraasphiti (Inflation). Matlab samagri ka bhau badna. Ye bhau kyun badte hain aiye issey bistar se samajhte hain.
Maan lijiye ki RBI bohot sara currency print karke desh ki savi nagrik ko de dete hain aur sabi millionaire ban jate hain. Millionaire banne ki khusi main koi bhi bekti kaam par nehi jayega aur kisan bhi khet main jane ki wajai ghar main beth kar aaram karne ka sochega. Faalsarup khet main koi bhi aanaj produce nehi hoga aur factory bhi aanaj na hone ki karon jyada goods produce nehi kar payega. isi doran desh ki naagrik jyada paise hone ke karan khane wale bostu ka jyada
demand (mang) karega. Parantu jyada demand ke chalte factory supply bhi jyada nehi kar payega, kyunki desh main koi bhi aanaz produce nehi ho raha hain. Faalsarup bostuwo ke daam adhik rup se badna suru hoga aur 15/- bread ki kimat 150/-, yani 10 guna badh sakta hain.
yesa hi ghtna ek baar Zimbabwe huwa tha 2001 main. Zimbabwe ke president ne desh ko garebi se hatane ke liye jyada currency print karne ka socha . Iska faalsarup ye huwa ki ek packet bread kharidne ke liye bhi bundle bundle note ki jarurat pari...
PUBLISHED BY :- ABDUL RAKIB
0 Comments