1. Preference shareholders ko company ek fixed rate main dividend pay karte hain. Ye dividend rate comapany jab preference shares issue karte hain tabhi decide kya jata hain.

         

    Parantu, Equity shares ke dividend rate comapny ke BOD(Board Of Director) har financial year main decide karte hain. Agar comapny ke profit bade toh shareholders jyada dividend milte hain aur profit ghate toh shareholders kaam dividend milte hain.


     

     2. Preference shareholders ko comapny ke BOD select karne ka adhikar nehi hain aur company ke koi bhi decision lene ka bhi adhikar nehi hain.


       equity shareholders ki baat ki jaye toh inlogo ko comapany ke BOD select karne ka adhikar bhi hain aur koi big decision lene ka adhikar bhi hain.


     3. Agar preference shareholders sahe toh , preference shares ko equity shares main covert kar sakte hain.

        

        par, Equity shares convertible nehi hai.


     4. Preference shares NSE(National Stock Exchange) aur BSE(Bombay Stock Exchange) main trade nehi hote hain.

    

        Parantu Equity shares NSE aur BSE main trade hote hain.


     5. Preference shares ki value up down nehi hote hain, isiliye shhareholders ki capital loss ki dikkate nehi hote hain.


        par equity shares ki baat ki jaye toh, isme demand aur supply ke wajah se shares value up down hote rehte hain. Jiske karan shareholders ko capital gain bhi ho  sakta hain aur capital loss bhi ho sakta hain.


       

        PUBLISHED BY:- ABDUL RAKIB